Ek samay tha jab manushya apne kisi bhi karya ki poornta ke liye
Mantro ka sahara leta tha aur uske karya poorn bhi hote the | Kintu aaj
ke manushya ka to Dharam se hi vishvas uthata jaa rha hai | Ese me unhe
Mantro ki shakti ka abhash karana ek kalpana matra hi hoga | Mantra
shakshat Devtao ke hi ans hote hai aur mantra jaap dwara unhe khush
karne ki parampara aadikal se chali aa rhi hai | Vaise to Mantra apni
shakti kabhi nhi khote aur inka jaap kabhi vyarth nhi jata hai | Kintu
yadi Sanklp ke sath kisi bhi Mantra ko niyamit roop se jaap kiya jaye to
inka prabhav kaafi badh jata hai aur vyakti jis bhi karya ko dhyan me
rakhkar Mantra Jaap karta hai use apne karya me 100% safalata milti hai |